Main aur meri tanhaai aksar yeh baatein karte hain
Tum hoti to kaisa hota, tum yeh kehti, tum voh kehti
Tum is baat pe hairaan hoti, tum us baat pe kitni hansti
Tum hoti to aisa hota, tum hoti to vaisa hota
Main aur meri tanhaai aksar yeh baatein karte hain

Yeh raat hain, yeh tumhaari zulfein khuli hui hain
Hai chaandni ya tumhaari nazrein se meri raatein dhuli hui hain
Yeh Chaand hai ya tumhaara kangan
Sitaarein hain ya tumhaara aanchal
Hawa ka jhonka hain ya tumhaara badan ki khushboo
Yeh pattiyon ki hain sarsaraahat ke tumne chupke se kuch kaha hain
Yeh sochta hoon main kab se gumsum
ke jab ki mujhko bhi yeh khabar hain
Ke tum nahin h, kahin nahin ho
Magar yeh dil hai ke keh raha hain
Key tum yahin ho, yahin kahin ho

Nothing else to say :D,

Categories:

Tags:

7 Responses

  1. yeh chandni kaun hein bhai? hamaari bhaabhi? :))

    When I read this shaayari..I remembered that sanjay dutt’s movie(with aish)..what is that I forgot…. 😕 :))

  2. Pramod: yeh chandni tho chand ki hain… 😉

    Yeh Silsile ka bahuthi sureli gaana hain… ‘Yeh Kahan Aa gaye hum…’

    Amitab sings for his love Rekha… amazing lyrics by Javed Akhtar… liked it so blogged it!!

    Really touching ones… 😉

Leave a Reply to Pramod Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.